WordPress Blog Ki Loading Speed 1 Second Kaise Banaye

 Kya aap apne WordPress blog ko fast loading banana chahate hai? Fast loading pages se user experience improve hoti hai, Aapki blog ki page views increase hoti hai. Aur aapki WordPress blog ki SEO me bhi help hoti hai. So In this post main aapko WordPress blog ki speed optimization ke bare me bataonga. Jisse aap apni website ki performance boost kar sakte ho. Aur apni blog ko speed up kar sakte hai.


Website ki loading speed fast banane ke aapko internet par bahut se tutorial mill jayenge. But main aapko blog ki loading speed kaise slow hoti hai. Aur blog ko fast loading Banane ke liye aapko kya kya karna hoga. Is bare me details me bataonga. Jisse aapko agar coding ki knowledge nahi hai to bhi aap easily apne WordPress blog ko speed up kar sakte hai.

Table of Contents

Blog Ko Fast Loading banana Kyu Jaruri Hai

Studies se pata chala hai ki 2000 se 2016 tak me kisi bhi humen ki wait karne ki ability 12 sec se 7 sec ho gayi hai. Yani aaj kal koi bhi jyada wait karna pasand nahi karte.

So aise me agar aapki website slow loading hogi to aapke visitors aapki site loading hone se pehele hi kisi others site par chale jayenge.

Aur ek case study se pata chala hai ki agar Google, Amazon jaisi site load hone me 1 sec late ho to unki 7% conversation 11% page views aur 16% customer satisfaction kam ho jati hai.

Aur aajkal Google ke sath baki search engine bhi late open hone wale sites ko penalised kar rahe hai. Or search engine results page me bahut niche show kar rahe hai. Jiska matlab hai slow website ko kam traffic milenge search engine se.

And I sure ki aap ek website owner ke hisab se ye kabhi nahi chahenge ki aapki website search results ke sabse niche show ho.

So agar aap apne blog ki traffic, subscribers, aur Revenue increase karna chahate hai to aapko apni WordPress websites ki loading speed Fast Banana Hoga.

Otherwise aapki blog ko rank karne me, Blog par traffic increase karne aur Revenue increase karne me bahut hi muskil ya impossible hi ho jayegi.

Blog Ki Loading Speed Kaise Check Kare

Jyadatar new blogger sochte hai ki unki websites OK hai. Because unke computer par ye slow nahi hoti hai. But ye bahut badi mistake hai.

Because aap apni website ko open karte rehete hai. Aur browser par iski cache reheti hai. Jisse aap kabhi bhi isko open karte ho to ye bahut hi fast open hoti hai.

But jab ek new visitors aapki blog ko open karta hai to aisa nahi hota hai. Because wo alag location and alag computer se aapki website ko open karte hai.

Isliye main aapko recommended karonga ki aap Gtmetrix, Pingdom jaisi free tool ko use kare apni site ki loading speed check karne ke liye. Because in tools par aap apni website ki loading speed different locations se check kar sakte ho.

Aur jab aap apni website ki speed check karenge to aapke mind me ye question aayega ki fast loading website hone ke liye aapki site ki speed kitni honi chaiye?

To main aapko bata du ki aapki page ki load time 1 – 4 second hona chaiye.

So Aapko har taraha ki kosis karni chaiye apne blog ki loading speed Time kam karne ke liye. Because agar aap half second bhi apne website ko fast bana sake to isme aapko bahut faida hota hai.

Kis Bajaha Se WordPress Blog Ki Loading Speed Slow Hoti Hai

Speed Test karne ke baad aapko apni website ko fast banane ke liye bahut se options show honge. But ek newbie in tips ko follow nahi kar sakte. Because wo technical Language me likha hota hai.

Aur WordPress site slow hone ke bahut se reason ho sakte hai jinme se kuch main reason hai.

1) Web Hosting – Agar aapne badiya hosting select nahi kiya aur aapki web hosting server badiya se Configuration nahi kiya ho ya web hosting ki service badiya na ho to ye aapke site ki speed ko slow karti hai.

2) Page Size – Page par agar images optimize nahi kiya ho to aapki site slow hoti hai.

3) Bad Plugins: Agar aap poorly coding kiya plugins use kar rahe hai to bhi aapki site ki speed kharab hoti hai.

4) External Script: External Script jaise ads, Font loaders se bhi aapki site ki performance slow hoti hai.

WordPress slow hone ke reason ab aap samaj gaye honge. To chaliye ab jante hai. WordPress Website ko Speed up kaise Karte hai.

WordPress Blog Par Good Hosting Ki Importance

WP par hosting service ki bahut badi role hoti hai website par. Agar aapki blog new hai aur aapke blog par traffic bhi kam hai to aap apne blog par HostGator ya Bluehost, ki shared hosting use kar sakte hai. Because new blog ko manage karne ke liye inki service bahut badiya hai.

But agar aapki blog old hai aur aapki website par kuch traffic bhi hai to aapko shared hosting use nahi karna chaiye. Because shared hosting par hosting share hoti hai. Aur agar aapki hosting jiske sath share ki hai unke blog par bahut jyada traffic ho to bhi aapki website down hoti hai. Because aapki server ki space dusri site par use hoti hai.

So hosting selection me aapko bahut hi dhyan dena hoga. Aur kisi aisi web hosting ko use hi mat kare jis bare me aapko achi jankari na ho. Because agar server down ki problem kisi bhi website par hogi to uski rank search engine par down ho jati hai.

So kam traffic me to thik hai. Lekin agar blog old aur kuch traffic ho to aap WordPress Managed hosting chose kare apne blog ke liye. Because managed hosting par aapko bahut se advance options milte hai. Jaise automatic Backup, Automatic WordPress Updates etc.

WordPress Blog Ko Fast Loading Kaise Banaye (Easy Steps No Coding)

Muje pata hai ki ek new blogger ko apni blog ki configuration change karna etna easy nahi hota. Aur syad aap ye bhi soch sakte hai ki kuch problem ho gayi to?

But don’t worry main aapko shirf kuch hi clicks me apne sites ki loading speed improved karne ke bare me bataonga. Jisse aap easily follow kar sakte ho. And in tips ko follow karne ke liye aapki kisi taraha ki coding knowledge ki jarurat nahi hogi.

Install A WordPress Cache Plugin

Jab aapki blog par visitors aate hai. Aur wo aapke alag alag pages or post ko open karte hai. To unko post aur pages ko show karne me bahut se process chalte hai. Jis bajaha se aapki website slow ho jati hai.

So WordPress site par aapko caching plugin use karna padhta hai. Caching se aapki site 2X se 5X tak fast hoti hai. So aap apne blog par WP Fastest cache plugin use kare. Ye aapke blog ko fast loading hone me help karti hai.

Note: Agar aap WordPress managed hosting use karte hai to aapko caching plugin use karne ki koi jarurat nahi hai. Because managed hosting provider ye shabhi care karte hai aapke liye.

Optimize Image For SEO

Image se aapki content aur jyada attractive hoti hai. Jisse aapke visitors aapki content ko jyada pasand bhi karte hai. But agar aap apni images ko optimize nahi karoge to yehi sabse badi reason hoti hai aapki site ko slow karne ki Isliye aap kabhi bhi direct kahi se download karke ya fir aapke mobile or camera se photo upload mat kare.

Aur kisi photo editing software ko use kare aur apni photos ko edit karke hi blog par upload kare.

Because original images ki size bahut big hoti hai. And agar aap ise compress karenge to aap image ki size 5x tak decrease kar sakte ho.

So aap apne every image ko compress karne ke baad hi blog par upload kare. Isse aapki loading speed me jyada farak nahi padhega. But without compress kiya images se aapki site ki loading speed bahut hi slow banati hai.

Caching plugin aur image optimize karne ke baad aap agar apni blog ki loading speed check karenge to aapko pehele se bater result milenge. But agar aap apne site ki performance aur bater banana chahate ho to aap kuch aur easy tips ko follow kar sakte ho.

Aur ise follow karne ke liye aapko kisi technical knowledge ki jarurat nahi aur aapko koi code bhi kabhi par add nahi karna hai. But inhe follow karke aap apni blog ko slow hone se rok sakte hai.

WordPress Site Ko Updated Rakhe

WordPress ek open source project hai jo regular update hoti hai. Har update me aapko kuch new features ke sath aapki security aur bugs problem bhi fix hoti hai. Also aapki Theme aur plugins ko bhi regular update karna ek website owner ke hisab se ye Aapki responsibility hai.

Because agar aap apne Blog, theme, and plugins ko regular update nahi karenge to aapki site ki security weak hoti hai. Jisse aapki blog hack bhi ho sakti hai. Aur old version ki bajah se aapki WordPress website ki performance bhi slow hoti hai.

So apni blog ki performance bater banane ke liye aap apne blog, theme aur plugins ko regular update kare. And check kare ki agar koi plugin ya aapki theme regular updated ki option nahi hai to aap aise plugins aur theme ko use mat kare.

Use Excerpts On Home Page And Archives

Default WordPress setting me aapki home page par full articles show hoti hai. Aur iski bajaha se aapki Homepage, Category, Tags aur other archives pages slow loading hoti hai.

Sath hi homepage par full article show karne ka aur ek disadvantaged ye bhi hota hai ki aapke visitors ko actual article nahi milti hai. Jiski bajaha se aapki blog ki page views bhi kam hoti hai. And aapki blog par visitors jyada time bhi nahi rukte hai.

So apne Archives pages ki loading speed ko fast banane ke liye aap apni home page par full content ki bajaha shirf summery show kar sakte hai.

And iske liye aap apni dashboard se settings> Reading par jaye aur “For each article in a feed, show: Full text ki bajaha summery ko select kare.

Spilt Comments Into Pages

Aapki site par bahut se comments hai. To ye bahut achi baat hai ! Bahut se comments ka matlab hai ki Visitors aapki blog par engaged ho rahe hai.

But post ke nichee jab ye comments load hote hai to bhi aapki site slow hoti hai.

Aur WordPress par iski solutions hai. Aap simply settings> Discussion par jaye aur Break comments into pages option ke nichee number select kare per page ke liye.

Use Content Delivery Network (CDN)

Jaise ki maine aapko upar bataya tha ki jab visitors alag alag geographical location se aapki blog ko open karte hai to aapki site ki performance slow ho jati hai.

Ye isliye hota hai ki manlo aapki jo main server hai wo United States par hai. Ab agar koi United States se aapki blog open karte hai to wo fast open hoti hai. Because aapki server United States par hai. But agar koi India se aapki blog ko open karenge to wo slow loading hoti hai because of server distance.

But CDN yani Content Delivery Network ki server alag alag geographical location par hoti hai jiske karan jo jaha se bhi aapki blog ko open kare usko uski sabse samne wale CDN se aapki content milegi. Aur ye bahut hi fast hogi. Because visitors ko usike location ke server se aapki blog show hogi.

But agar same content United States ki server se show hogi to isme bahut time lagegi. Aur aapki blog visitors ke device me open hone me time lagegi. Yani aapki Website bahut hi slow loading hogi. Jiske karan aapke visitors kisi dusre sites par chale jate hai.

So aapko apne blog par best Content Delivery Network jaise Max CDN, CloudFlare use karna chaiye. Jisse aapki blog ko fast loading hone me help mile.

WordPress Par Directly Video Upload Mat Kare

Aap WordPress par directly video upload kar sakte hai. Aur HTML 5 ki help se ye aapke website par show bhi hogi.

But aapko aisa nahi karna chaiye. Because video host karne se aapki server ki bandwidth jyada cost hoti hai. Aur iske liye aapko charged bhi karna padh sakta hai apni hosting company ko. Or Hosting company aapki site ko closed bhi kar sakti hai agar aapke server par unlimited bandwidth ho to bhi.

Sath hi video hosting karne se aapki WordPress ki backup size bhi jyada ho jati hai. Aur aapko backup rakhne ya backup ko upload karne me bhi parisani hoti hai.

So aap kisi video hosting site jaise YouTube, Vimeo, Dailymotion etc use kare. Aur apne hosting par host karne ki bajaha inpar apne videos ko host karde.

WordPress par video embed features hai. So aap apne video ki link ko copy or paste karke apne blog post par video automatically embed kar sakte hai.

Optimize WordPress Databases

Jab aap apne blog ko use karte ho to aapki database par bahut se unnecessary information store ho jate hai jiski aapko koi jarurat bhi nahi hoti hai. So apne blog ki performance improve karne ke liye aap aise database ko remove kar sakte ho.

And iske liye aap Wp-Optimize plugin use kar sakte ho. Jo aapki unwanted database jaise, Trashed post, Revision Unused Tags ko delete karke aapki website ki performance ko improve kar sakti hai.

Use Google AMP

Blog ki loading speed fast banane ke liye aap Google AMP use kar sakte hai. Isse aapki website mobile par 85% Fast hoti hai. Aur aaj kal har koi mobile se hi blog par jyada visitors visit karte hai.

So Google and twitter ne milkar ek open standards project banayi ha. Jo mobile par web pages ko fast loading hone me help karti hai.

AMP par blog ki extra content show nahi hoti hai. Jaise, Popup widget, Facebook like Box, Widgets etc. Ispar java script ko bahut hi kam use kiya jata hai aur HTML and CSS ko bhi bahut hi compress karke show karti hai.

Aur jaise ki maine aapko upar bataya ki aajkal bahut hi fast mobile users ki number increase ho rahi hai Blog SEO ke liye bhi aapki blog mobile par fast loading hona chaiye.

So aap apni blog ko fast loading banane ke liye Google AMP use kar sakte ho.

Final Words

Upar maine aapko jitne bhi tips bataye hai WordPress blog ki performance ko bater banane ke liye, Agar aap in tips ko follow karenge to I sure aapki blog bahut hi fast loading hone lagegi. But aur kuch baton ko bhi aapko dhyan me rakhna hoga jaise, Blog par jyada ads use mat kare. Otherwise aapki site ki loading speed bahut hi kharab ho jayegi.

Maine bahut se new bloggers ko dekha hai. Jo apni home page par har ek post ke niche ek ads laga dete hai. Aur per post par bhi 6,7 ads add karte hai. Aur kehete hai ki blog par traffic nahi aate, Blog ki loading speed bhi slow hai.

Agar aap bhi aisa karte hai to main aapse kehena chahonga ki aapki blog ek to new hai, Uspar jyada content bhi hai nahi aur upar se aap jyada ads add karenge to aapki site slow hogi. Aur search engine ko aaj kal slow website pasand nahi hai. Aur ek slow website se ek fast loading website ko achi rank milti hai.

So blog par jyada ads mat lagaye. Aur apne blog ki performance ko badiya banaye.

Also aap Apni template ko bhi badiya se check karle aur check kare ki wo regular update ho rahi hai ye nahi. Because WordPress ke bahut se aise theme hai jo bahut hi badiya dikhte hai but poorly coded hote hai. Aise theme use karne se aapki WordPress site ki loading speed ko bahut slow bana deti hai. So aap apni theme ko bhi badiya se check karle ki wo proper work kar rahi hai ya nahi.

That’s It I hope ki is article se aapne kuch new chize learn kiya jisse aap apni WordPress ki performance ko boost kar sakte ho.

Ispar bataye 2 ya 3 tips ko follow kare. Aur apne blog ko pehele aur tips ko follow karne ke baad fir se apne blog ki loading speed check karle. Aur results niche comment box par bataye.

Comments