Blog Par Visitors Badhane Ke liye Kya Kare – 103 Popular Ways

 Blog ki traffic kaise badhaye ye ek bahut hi badi problem hai new blogger ke liye. And blog par 10 or 15 post hone ke baad har koi yehi chahega ki apni blog ki traffic high ho. So wo blog par visitors increase karne ki bahut se tarike use bhi karte hai.

But blog par visitors lana koi easy work nahi hai. Isliye bahut se bloggers kuch din blogging karne ke baad blog par visitors increase na hone ke karan blogging hi quite kar deti hai.



Agar aapne blog banayi hai ya aapne recently blogging start kiya hai to aap is post ko carefully padhe. Aur ispar bataye har ek tips ko follow kare. Because in this post main aapko pure 103 tarike bataonga. Jinhe agar aap badiya tarike se follow karenge to I sure aapki blog ki traffic 100% increase hogi.

But pehele hi kuch baate main aapko bata deta hu ki blog par traffic increase karna koi easy kaam nahi hoti. Aapko apni blog par visitors badhane ke liye bahut se rules ko regular aur properly follow karna hoga. Tabhi aapki blog par visitors increase hogi.

Table of Contents

Blog Ki Traffic Kaise Badhaye – 103 Popular Ways

Jaise ki maine aapko upar bataya ki blog par high traffic pane ke liye aapko bahut se rules ko follow karna hoga. So main aapko kuch tips bataoga jinhe aap properly follow kare. Aur apni blog ki traffic increase kare.

Blog

#1) Domain Add Kare: Blog par traffic increase karne me domain name ka bahut hi badha rool hota hai. Isse agar aapki blog Blogspot par hi banaya ho to bhi aap apne blog par Domain add kare. Because Blogspot ki free domain name bahut hi lambi hoti hai. Jisse visitors ko aapki blog ki name yaad rakhne me bahut hi parisani hoti hai. Jisse visitors chahkar bhi aapki blog par visit nahi kar payenge. So blog par custom domain name add kare.

#2) Ek Badiya SEO Friendly Theme Download & Upload Kare: Blog ki theme jisko ham Blogspot par Template bhi kehete hai. Ye bhi ek bahut hi important part hai kisi bhi Website ke liye. Them par na shirf aapki blog ki design hoti hai. Sath hi aapki blog ki loading speed bhi template ke hisab se hota hai. Aur aap to jante hi honge ki agar blog ki loading speed slow hai to aapki blog par visitors nahi aayenge. So apne template ko again and again change mat kare. Aur mobile friendly, SEO friendly, fast loading wala template hi select kare apne blog ke liye.

#3) Blog Ko Google Search Engine Par Submit Kare: Agar aap apne blog ko search engine par submit nahi karenge to Google search engine ko aapki blog ke bare me kaise pata chalega. So agar aapki blog post abhi tak bhi search engine par show nahi ho rahi hai to aap apne blog ko abhi search engine par submit karle.

#4) Bing Par Submit Kare: Google ki taraha hi aap apne blog ko Bing yani Yahoo par bhi apne blog ko submit karle. Because aaj kal bahut se users Google ke sath Bing browser ko use karte hai. So apni blog par traffic gain karne ke liye apne blog ko Bing search engine par bhi submit kare.

#5) Alexa Par Submit Kare: Site ki alexa par blog ki rank chek karne ke liye aap apne blog ko alexa par bhi bhi submit kare. Aur alexa rank increase karne ke liye bhi ise submit karna bahut hi jaruri hai.

#6) Sitemap Create Kare:  Sitemap ek choti file hoti hai jispar aapke blog ke post and pages ki URL hoti hai. Aur ho search engine ke Crawalers ko aapko post aur page ko search karne me help karti hai. jisse aapki blog search engine par fast show hone lagegi. So blog ke kiye sitemap jarur hi create kare.

#7) Sitemap Ko Search Console Par Submit Kare: Sitemap banane ke baad use Google search console par submit kare.

#8) Bing Webmaster Par Sitemap Ko Submit Kare: Jaise aap apne blog ko google search engine par submit karte hai thik woise bhi aap apne sitemap ko Bing par bhi submit kare.

#9) Robot. Txt Add Kare: Robot.txt ki help se search engine aapki post ko crawl aur index karta hai. So blog par ise add kare. Aur search engine ko aapko post index karne me help kare.

#10) Advance SEO Enable Kare: Agar aap Blogspot use karte ho to app Advance SEO ko enable kare. Because ispar aap kya kya index karna hai kya kya noindex karna hai yani search engine par aapko kya show karna hai and kya hide karna hai ye setting kar sakte hai.

#11) Blog Ko Design Kare: Blog ko aap jitni ho sake simple design kare. Blog par jyada widget add mat kare. Aur blog ke home page par bhi aap jyada post show mat kare. And shirf 5/6 post hi show kare. Aur blog ki design hamesha clean rakhe jisse aapki blog visitors ko easily attract kar sakti hai.

#12) About Us Page Add Kare: Blog kiska hai kisne banaya hai ye jaana har visitors chahenge. Aur agar aap apni blog par Google AdSense ke jariye earn karna chahate ho to aap apni blog par About us page use kare.

#13) Privacy Policy Add Kare: Blog par visitors ki kya kya data liya jata hai. Blog ki rules kya kya hai. Ye shabhi bhi aapko apni privacy policy page par likhna hoga. Aur ye page bhi adsense ke liye jaruri hai.

#14) Contact Us Page Create Kare: Aagar kisi reason aapse koi aapki blog ke related kuch kehena chahe ya kisiko aapko contact karna ho to iske liye aapko apni blog par ek contact us page add karna padhege.

#15) Blog Par Popular Post Widget Add Kare: Jo bhi aapki blog par visit karenge wo aapke blog ke sitebar par aapki blog ki popular post dikhenge to wo aapke popular post par jarur hi visit karenge. Aur aapki baki post bhi read karenge. Aur ise aapki blog ki bounce rate bhi kam hogi.

#16) Blog Par Author Box Dale: Author box se visitors ko ye asani se pata chall jata hai ki blog kisne banaya hai. Jisse visitors ko aap easily attract kar sakte ho.

#17) Blog Ke Home Page Ko Clean Rakhe; Blog par visitors badhane ke liye blog ke home page ko clean rakhna bahut hi jaruri hai. Nahi to visitors confusion ho jayenge aapki blog ko samajne me. So blog par jyada widget add mat kare.

#18) Fast Loading Banaye: Manlo aap net par kuch search kar rahe ho. Aur aapko uske bahut se result bhi mile search engine par. Aapne sabse upar ki result par click kiya aur kuch sec wait karne ke baad bhi wo site open nahi ho rahi hai. To aise me aap kya karenge?  Simple si baat he ki dusre kisi site par chale jayenge. Same woise hi aapke blog ki bhi loading speed slow hai to visitors aapki site ki bajaha kisi dusre site par chale jayenge.

#19) SEO Friendly Banaye Apne Blog Ko: Agar blog SEO friendly nahi hai to bhi aapke blog par kabhi traffic boost nahi hogi. So apne blog ko Search Engine ke liye bhi optimize karna bahut hi jaruri hai.

#20) Home Page Par Jyada Ads Show Mat Kare: Ads se blog ki loading speed slow hota hai So blog ke home page par over ads phow mat kare. Aur shirf 1 ya 2 ads hi add kare.

#21) Blog Par Search Box Lagaye:  Search box ki help se aapke blog ke visitors easily aapke blog par jo chahe wo search kar sakte hai. Jisse wo aapke site par bahut time spand karenge.

#22) Home page Par 4/5 Post Hi Show Kare: Jaise ki maine aapko bataya ki Home page Jitni ho sake simple aur clean rakhe. Aap apne lattest blog post 4 ya fir 5 post hi show kare. Wo bhi puri nahi shirf summery hi add kare post ki jaise aap mere is site ki home page par dekh sakte hai.

#23) Blog Ke Extra Widget Ko Remove Kare: Blog par extra widget ko add mat kare aur shirf important chizo ko hi add kare. Aur baki widget ko remove kare.

#24) Blog Par Badiya Menu Bar Ka Use Kare: Menu bar se visitors apne hisab se search kar sakte hai. Jisse blog par jyada se jyada visitors aur jyada time rukenge.

  • Search Engine Optimization Kaise Kare

Blog Post

#25) Blog Post Ke Liye High Quality Keyword Research Kare:  Keyword hi post ki main chiz hoti hai. Aur keyword se hi aapki blog post ko search engine par rank milti hai. Aur jab search engine par achi ranking hogi to aapke post ke jariye aapke blog par bahut se organic visitors gain honge.

#26) Post Ki Title Ko Attractive Banaye: Blog post ki title hi pehele visitors ko show hoti hai. Isliye title ko aap jitni atarctive banaoge. Aapko utni hi jyada visitors milenge aapke blog post ke liye. So post ki title ko eay cacthy aur attarctive banaye.

#27) Long Tail Keyword Use Kare: Long tail keyword ko use karne se aap apni blog par jyada keywords ko add kar sakte ho. Aur long tail use karne se post ko search engine par ranking bhi acchi milti hai. So blog par hamesha long taill keyword add kare.

#28) Title Par Keyword Ko Add Kare: Blog post ki title par apni keyword ke add karna mat bhule. Keyword add karne se aapki title aur post seo friendly hoti hai. Jisse aapki post sabse upar show hogi. Aur aapke blog ke liye huge traffic milenge.

#29 Post Par related Keyword Add Kare:  Keyword ke sath aap apni blog par related keyword ko bhi add karna mat bhule. Because agar aapne related keywords use nahi kiya aur search engine par wohi search jyada ho gaya to aapki blog search engine par show bhi nahi hogi. So blog post par bahut bar related keyword ko use kare.

#30)Title Ko SEO Friendly Banaye: Title blog post ki main chiz hoti hai so blog post par keyword add kare. Aur post ko attractive banankar use seo friendly banaye. Jisse aapko aur bhi jyada traffic milenge apni post ke liye.

#31) Short Paragraph Me Post Likhe: Long paragraph visitors ko parisan karti hai. Aapki post ko read karne me aur samajne me. So blog post ke paragraph short aur sweet banaye. And long paragraph ko avoid kare.

#32) Post Par Photos Add Kare: Potos har kisiko badiya hi lagta hai. Aur images se aapki visitors bahut hi easily attract hote hai. So blog post par images jarur use kare. Aur post par hamesa jarurat ke photos hi add kare.

#33) Interlinking Kare: Interlinking se aapki post seo friendly hoti hai aur visitors bhi ek post se aapki others post ko easily visit kar sakte hai. Jisse wo aapke blog par bahut time rukenge. Aur aapki site ki bounce rate bhi achi hogi.

#34) Images Ko SEO Friendly Banaye: images add karne ke baad aapko apni images ko seo friendly banana hoga. Aur jiske liye aapko apne images par alt tag par keyword ko add karna hoga. Jisse aapki blog ki images SEO friendly hogi.

#35) Permallink Ko SEO Friendly Banaye: Permalink aapki post ki URL hoti hai. Aur apne post ke address ko aap agar seo ke liye optimize nahi karoge to aapki post search result par show nahi hogi. Aur aapki blog par traffic bhi nahi aayenge. So every post ke permalink ko aap SEO ke liye optimize kare aur apni post ke URL ko seo friendly banahye.

#36) H2, H3 Heading Add Kare: Blog post par headings use karne se aapki post badiya aur attractive bhi lagti hai. So aap apne post par H2, H3 use karna mat bhule. aur aap headings par bhi keyword ko add kare

#37) Blog Post Par Keyword Ko Badiya Tarike Se Optimize Kare: Keyword blog par traffic lane me sabse jyada help karti hai. Agar aap badiya tarike se keyword ko optimize nahi karenge to aapki post ko search engine par achi position kabhi nahi milegi. So every post ke keyword ko post par badiya tarike se optimize karna hoga.

#38) Post Ko SEO Friendly Banaye: Blog post SEO friendly nahi hogi to aapki post search engine par aap jitni bhi page par dekhlo aapki post show nahi hogi. Aur jab tak post search result par top par show nahi hoga.Tab tak aapki blog traffic increasing nahi hogi. So blog ke har post ko SEO ke liye optimize kare. Aur apne blog ke visitors badhaye.

#39) Badiya Length Me Post Likhe: Post par hamesha puri jankari share kare. I mean aap jo bhi apne blog par share karoge unpar puri details me jankari shar kare. Aur aisa karne se aapki post 100% kam words ki nahi hogi. Aur jis post par puri jankari hogi. Use visitors and search engine dono hi like karenge.

#40) Helpful Post Share Kare: Boring post kabhi share mat kare apne blog par. Nahi to jo visitors aapki blog par regular visit karte hai wo bhi aapki site se chale jayenge. So hamesha aisi post share kare.Jisse visitors ko help ho aur unko aapse kuch na kuch learn karne ko mile.

#42) Meta Description Add Kare: Blog par visitors increase karne ke liye blog post par Meta Description add karna bahut hi jaruri hai. Meta description par aapko 150 words me apni post ke bare me description dena padta hai. Aur jisme aapko apne post ki keyword ko bhi add karna padta hai.

#43) Label, Tags Add Kare Post Par: Label aur tags se aapki blog ki visitors blog par bahut time engage hote hai.Because jab wo label aur tegs ke jariye aapki baki post ko dekhnge to wo aapki others post ko bhi read karenge. jisse aapki blog ki bounce rate ke sath aapki earning bhi badhti hai.

#44) Post Ko Published Karne Se Pehele Check Kare: Blog par traffic aapko apne blog post ke jariye milta hai. So post par kisi tarha ki kami nahi honi chaiye isliye aap apne every post ko share karne se pehele post ko ek bar achi tarike se check karle. Jaise kabhi spelling mistakes ya fir aap kahi par keyword, meta description use karna bhull gaye ho.

So aap blog post ke shabhi important chiz ko achi rataha properly check karne ke baad hi post ko published kare.

#45) Old Post Ko Update Kare: Blog par traffic drive karne me aapko aapki old post bhi help karti hai. But jaise time ke sath bahut se chize change hoti hai thik woise hi aapko bhi apni post ko update karte rehena chaiye. jisse aapko apni blog post ko read karne ke liye aur bhi bahut se new visitors milenge.

#46) Post Update Karte Waqt Title Ko Change Kare: Post ko aap jab bhi update karte ho to aap uss post ki SEO ttle dusri rakh sakte hai. jiske jariye bhi aapko kuch new visitors milenge. Search engine se.

#47) Pos ki Link Change Mat KarePost ko update karte waqt ek baat ha mamesha yaad rakhe ki aapko post ki link kabhi bhi change nahi karna hai. Nahi to bhir aapki blog ki traffic increase hone ki bajaha aur bhi kam ho jayegi. Aur aapki blog par 404 error ka problem hoga.

#48) Post Ko Update Karte Waqt Aur Jyada Words Add Kare: Jab old post ko aap update karte ho to aap uspar kuch new words add kare. Aur uspar apne dusre post ki kuch links bhi add kare.

#49) Trading Articles Share Kare: Tranding topic par agar aap jankari share karoge to aap apne blog ke liye bahut se traffic gain kar sakte ho. Because tranding topic jyadatar visitors hi janna pasand karenge. So blog par tranding topic par articles share kare. But ispar bhi ek baat ko dhayn me rakhe ki aap bas apne blog topic ke related topic ko hi select kare. Aur tranding topic bolke aap kisi aise topic ko select mat kare jo ki aapki blog topic ke related hi na ho.

#50 Blog Post Ke Niche Comments Box Lagaye: Comments se visitors aapki blog par aur jyada engage hote hai. Aur jyada time aapki blog par rukenge. Jisse aapki blog ki bounce rate bhi kam hoti hai. Aur aapki earning bhi increase hoti hai. So apne blog par Traffic Building ke liye aap Comments box jarur hi add kare.

#51) Dusre Blog Par Guest Post Kare: Blog par jyada visitors lane ke liye aapko apne blog niche ke related blog par guest post karna chaiye. Jisse aap jis blog par guest post share karoge. Agar aapne ek badiya high quality articles share ki hai to uss blog ke visitors bhi aapke blog par visit karne lagenge.

#52) Apne Blog Par Bhi Guest Post Received Kare: Jaise aap dusre bloggers ke blog par guest post karte hai. Thik woise hi aap apni blog par bhi guest post receive kare. Ise aapko apne blog ke liye dusre blog se kuch traffic milne ke sath aapki blog ki post bhi increase hoti hai. So aapko apni blog par guest post start karna chaiye.

#53) Every comments Ki Reply De Jab koi aapki blog par comment karta hai to aap uss comment ka replay jarur de. Ise visitors aapko aur bhi jyada believe karne lagenge and wo daily aapke blog par visit bhi karenge.

#54) Post Par Ads Kam Use Kare: Ads se aapki blog ki loading speed bahut hi slow hota hai. Aur agar aapki blog ki loading speed slow ho to aapko apni blog par traffic increase karna bahut hi muskil ho jayega. Because  slow loading wale blog par 95% visitors visit karna pasand nahi karte. Aur jyada ads se visitors ko bhi bahut hi parisani hoti hai aapki blog ko dekhne me aur aapki post ko read karne me.

Social Sites Se Apni Blog Par VIsitors Badhaye

#55) Post Share Karne Ke Baad Google Search Console Par Index Kare: Blog post ko fast search engine par show karne ke liye aapko apni post ko directly search console par submit karna hoga. Aur ise submit karna bhi bahut hi assan hai. Aap post ko share karene ke baad search console par visit kare aur fir Crawl par click kare. Fir face as Google par apni post ko submit kare.

#56) Post Ko Bing Webmaster Par Submit Kare: Aaj kal Bing yani Yahoo bhi bahut se users use karte hai. Aur Yahoo se bhi aapki blog post ko read karne ke liye aapko bahut si traffic milegi. So jaise aapne apne post ko Google par Submit kiya hai woise hi aap Bing Webmaster par bhi apni post ko submit kare.

#57) Indiblogger Par Submit Kare: IndiBlogger ek Hindi Bloggers ki Community hai. Jaha par aapko bahut se hindi bloggers milege. Blog par jab 20+ post ho jaye to phir aap Indiblogger par apna account create karke uspar apne post ko submit kar sakte hai. Aur indiblogger se aapko apni blog ke liye badiya high quality backlinks bhi millegi. Aur aapke blog ke liye bahut se visitors bhi milenge.

#58) Facebook Par Share Kare: Facebook ek sabse best aur popular social site hai. Jispar per day karib 2 Billion active users reheti hai. Aur apni online business ko promote karne ke liye  ye bahut hi badiya place hai. Aap apni blog ki ek account banaye. Aur apne every post ko facebook par share kare.

#59) Facebook Page Banaye: Facebook par aap ek page banaye aur uspar bhi aap apne blog ko share kare. Aur apne doston ko bhi aapki blog post ko share karne ke liye kahe jisse aapko facebook page se bhi kuch Social Traffic milenge.

#60) You Tube Ke Liye videos Banaye: YouTube ke jariye bhi aap apne blog ko promote kar sakte ho aur aapne blog ke liye bahut se visitors aap gain kar sakte ho. Ispar aapko karna ye hai ki apni Blog post ki aap video banaye aur unhe YoyTube par share kare.

#61) Facebook Groups Create Kare: Facebook par aap apni page ke sath Group bhi create kare. And apne har post ko uspar share kare. Aur aap apne group par bhi friends ko add kare And other friends ko bhi unke friends ko group par add karne ke liye kahe.

#62) Google Plus Par Share Kare: Google plus bhi ek bahut hi popular social sites hai. And Google plus par bhi aapko apni every blog post ko jarur hi share karne chaiye. Jisse aapki blog post bahut log dekhenge aur post ko read karne aapke blog par bhi visit karenge.

#63) Facebook Ke Liye Videos Banaye: Jaise aap facebook par page aur group banakar post ko share karte hai thik woise hi aap fb ke liye video banaye. Aur apni group aur page par share kare. Jisse aapki video dekhkar bhi aapke blog par bahut se traffic increase honge.

#64) Twitter Par Tweet Kare: Twitter par bhi aap apne har blog post ko tweet kare. Aur twitter ke followers increase kare. Jisse aapke blog post ko aapke jyada se jyada followers dekh skate hai.

#65) LikedIn Par Share Kare: Ye ek bahut hi popular professional social network site hai. Ispar bhi aap apni account banakar apni blog post ko share kare. Because likedIn se bhi aapko apni blog ke liye bahut se social Traffic milegi.

#66) Pinterest Par Photo Publish Kare: Pinterest ek photo sharing site hai ye to aap jante honge. But kya aap apne blog post ke photos ko Pinterest par share karte hai? Agar nahi to aaj se hi aap apni blog post ko jaise share karte hai.Thik woise hi aap apne shabhi images ko bhi Pinterest par share kare.

#67) Instagram Par Share Kare: Instagram ke user bhi pehele se aaj kal bahut jyada hai. Aur ispar bhi aap photos sharing kar sakte ho. So aap apni blog post ki images ko ispar bhi share kare.

#68) Instagram Ke Liye Video Banaye: Jaise aap Facebook ke liye video banate hai same aise hi aap Instagram ke liye bhi video banaye and share kare.

#69) Visitors Ko Post Ko Share Karne Ke Liye Kahe: Jab aap apni blog par high quality post share karenge to visitors ko aapki post jarur hi pasand aayegi. So agar aap apni post ke niche visitors ko aapki post ko share karne ke liye kahenge. To bhi aapke bahut se visitors aapke post ko social site ke apne account par share kardete hai. To ise unke shabhi friends ko aapki post show hoti hai. Aur aapki blog ki traffic increase hoti hai.

#70) Blog Par Bhi Social Share Buttons Use Kare: Blog par social share buttons use karne se bhi aapki blog ki traffic increasing me help hoti hai. Because jo aapke Post ko share karna chahe wo aapke blog post ko easily share kar sakte hai.

#71) Apne Friends Ko Bhi Aapki Post Share Karne Ke Liye Kahe: Aap apne jitney bhi dost hai shabhi ko apne post ko Aur page ko aur videos ko share karne ke liye kahe jisse bhi aapki blog par bahut se new visitors milenge.

#73) Follow Buttons Add Kare:  Blog ke sitebar par popular social sites jaise Facebook, Twitter, sites ke follow buttons add kare. Jisse aapke blog par visit karne wale visitors easily aapke blog ko apne social sites par follow kar sakenge. Aur aapki blog par social traffic milenge.

#74) Quora Par Join Kare: Quora ek bahut hi badiya aur popular Question and answers site hai. Jispar aap har taraha ki question kar sakte hai aur aapko jis question ka answer pata ho to aap uski answere de and apne site ki link bhi share kare. Aur apne blog ke related topic par question kare.

#75) Other Questions & Answers Sites  Aur Forum par join kare: Quora ki jaise aap baki Q&A site par join kare aur apne blog ki link ko bhi share kare. Sath hi aap forum par bhi join kare. Baki bloggers ko help kare. Aur apni blog par visitors badhaye.

Email Marketing Se Blog Ki Traffic Increase Kare:

#76) Email Service Start Kare: Email se aap apne blog par bahut se visitors badha sakte hai. So aap apni blog par traffic increase karne ke liye email service start kare. Aur email collect karke unnhe mail kare.

#77) Blog Par Email Subscribe Widget Add Kare: Aapki high quality post padhhne ke baad bahut se log aapki blog ko subscribe karna chahenge. So blog par ek email subscribe widget add kare.

#78) Subscribers Badhaye: Blog ke jitne subscribers honge aapko utni hi email marketing se visitors milenge. So aap jyada se jyada mail id collect kare.

#79) Email Delivery Time Change Kare: Log jyadatar ek hi time par email chevk karte hai. So aap check kare ki kab jyada log apni email ko check karte hai. Aap apni Email Deliverry time ko tab set kare. Jisse jyada se jyada log aapki email ko check karenge. Aur aapki visitors bhi increase hogi.

#80) Show Only Summary In Email: Aapni email par aap apni puri post ko kabhi bhi share mat kare. Aur Email par shirf blog post ki summary hi send kare. Otherwise aapke visitors aapki blog par visit nahi karenge.

#81) Readers Ko Blog Subscribe Ke Liye Request Kare:  Aapni blog post par aap apni blog ko subscribe karne ke liye kahe. Aur Social site par, Aapni page par bhi aap apne visitors ko aapki blog subscribe karne ke liye kahe.

#82) Subscribers Ko Mail Send Kare: Subscribers ko aap badiya tarike se mail create karke Professional email send kare. Jisse aapko Automatic share se bahut hi jyada visitors milenge.

#83) Subscribers Ke Mail Ka Reply De: Agar aapki blog ke koi bhi subscriber agar aapko mail kare to aap unko badiya response de. Isse aapki visitors ke sath achi relation banegi. Aur use aapko regular visitors milenge apne blog ke liye.

Offline blog ki traffic increasing tips

#84) Blogger Friends Se Blog Ko Promote Kare: Aap apne Blogger friends ko kehakar bhi apni blog ko promote kar sakte hai. Wo aapke blog ko apni blog or social media sites ke jariye promote kar sakte hai. Jisse bhi aapko kuch visitors milenge aapki site ke liye.

#85) Ads Create Kare: Aap banner type ke ads banakar bhi apni blog ko promote kar sakte hai. Aise ads banakar agar aap School aur collage students me share karenge to bhi aapko aapki blog ke liye bahut se new visitors mill sakte hai.

#86) Marketing Kare: Jisse bhi aap kabhi baat kare to aap unko apni blog ke bare me jarur hi bataye. Ise agar aap kahi doston ke sath baithe ho to aapke bahut se new friends ko bhi aapki blog ke bare me janenge. Aur wo aapke blog par bhi jarur visit karenge.

#87) Friends Ko Promotion Karne Ke Liye Kahe: Aap apne friends ko kehekar unke facebook ke Page ,Groups, aur apne timeline par share karne ke liye kahe. Jisse unke fb ke friends bhi aapki blog par visit karenge.

#88) Make Gratings Cards: Bahut bare hame koi kuch kehete hai aur ham bhull jate hai. Thik isi taraha aap jisse milenge use apni blog ki name ki ek Gratings card jarur de. Jisse wo aapke blog par kabhi na khabhi to jarur hi visit karenge.

#89) Free Gift Share Kare: Aap apni blog ki name ki kuch aise chiz banaye jaise, Bags, T-shirts, Cups, Caps etc banakar logo ko share kare. Jisse aap jisko bhi apni blog ki name ki gift denge wo jarur hi aapki blog par visit karenge.

#90)  Newspaper Par Ads De: Aap apni blog ko bahut hi kam paise dekar Newspaper  par ads dekar apne blog ko promotion kar sakte hai. Jo newspaper read karte hai wo aapki blog par visit kar sakte hai.

#91) TV Par Ads Dikhaye:  Aap apni blog ki ads TV par show karke bhi apni blog par huge traffic increase kar sakte hai.

#92) Facebook Par Paid Promotion Kare: FB par aap jaise page aur groups banakar apni blog ko promote karte hai. Thik woise hi aap facebook par paisa paid karke bhi blog ki traffic increase kar sakte hai. But yaad rake ki paid promotion me aapko apni targeted Audience ko properly select karna hoga. Otherwise aapki paise bekar me waste hoga. But agar aap apni  Audience ko shahi tarike se select karenge to aapko bahut se visitors milenge apni blog ke liye.

#93) Twitter par advertise kare: Facebook ke jaise aap twitter ke jariye bhi apni blog ko aur blog post ko aur apni blog ko promote kar sakte hai. Twitter par bhi aapko bahut se user milenge apne blog ke liye.

#94) LinkedIn Par Promote Kare: Jaise ki aap jante hai ki LikedIn ek bahut hi badiya, popular aur professional social sites hai. Ispar bhi aap kuch paise dekar apni blog ko promote kar sakte hai. Aur likedin ek professional social site hai. Jisse aapko apni blog ke liye bahut hi targeted visitors milenge.

#95) Instagram Par Promotion Kare: Instagram par aap apni blog ki video banakar ispar aap apne video ke jariye aap apni blog ke liye bahut se visitors gain kar sakte ho.

#96) Dusre Blog Ke Jariye Promotion Kare: Aap kuch badhe blogger ko kuch paise dekar bhi apni blog ko unke blog ke jariye promotion kar sakte ho. Aapke blog ke ads ko wo apne blog ke sitebar aur post par show karke aapke blog ke liye aap best readers recived kuch visitors send kar sakte hai.

Extra Tips

#97) Mobile Apps Banaye: Aap apni blog ki Mobile apps banaye. Aur use play store par aur apni Blog or group aur pages par bhi promote kare. Aur apni App ko download karaye. Jisse aap apne blog ke sath apni application ke jariye bhi ek achi earning kar sakte hai.

#98) App Par Blog Me Visit Karne Ke Liye Link Add Kare: Fir aap apni application par  bhi apni website ki link add kare. Jisse aapko apni app ki jariye bhi apne blog ke liye traffic milenge.

#99) Negative Content Likhe: Post ki title kabhi kabhi aap Negative type ki jaise Jisse aap nahi kar sakte, Ya aapse nahi hoga. Aise words ko aap apni post ki title par add kare. Jisse bahut se visitors attract kar sakte ho social sites par.

#100) Others Ki Blog Par Comments Kare: Aap  dusre bloggers ki blog par comment kare. But comment aisa kare jisse dekhne ke baad koi bhi visitors aapki blog par aana chahe. So aap nice post, Helpful articles aisa kahi par bhi mat likhe aur post ki related hi comment par question puche ya kuch discussion kare. Jiss discussion se logo ko bhi kuch new janne ko mille.

#101) Dusre Bloggers Ke Sath Link Exchange Kare: Aap apni blog ki links ko dusre bloggers ko unki blog par apki link share karne ke liye kahe. Aur apni blog par bhi aap unka link share kare. Jisse aapke blog ke kuch visitors unke blog par jayenge. Aur kuch unke blog se aapki blog par aayenge.

#102) Backlinks Increase Kare: Backlinks ki matlab aapki site par aane wale dusre site ki links ko backlinks kehete hai. Manlo aapki blog par meri is site ki link hai. To uss link ko click karke jitney bhi visitors mere site par aate hai. Wo backlinks ke visitors hote hai.

But backlinks bhi quality or poor quality ki hoti hai. Quality backlinks jo achi ranking wale sites se aapki site par aate hai. Aur jis site ki rank bhi achi nahi Aur kuch copywriter content ke site jaise songs, movie ke sites se agar aapki site par link hai to wo aapki poor backlinks honge.

#103) Bounce Rate Kam Kare: Blog ki bounce rate agar achi nahi hogi to aapke blog par jyada voisitors nahi aayenge. Aur na hi aapki blog ki income achi hogi. So aap apne  blog ko aisa banaye ki jisse aapke visitors aapki blog par bahut time spend kare.

  • WordPress Blog Par SEO Setup Kaise Kare

Note: Blogging chahe aap kisi bhi platform par kare WordPress , Blogspot drupal, joomla ya kisi or par. Ye shabhi tips aapko ko aap apni blog par visitors badhane ke liye use kar sakte hai. Iski bas jo 10 no ki tips hai. Wo shirf Blogspot ke liye hai.

Finally agar aap in shabhi points ko badiya tarike se follow karenge to aapki blog ki traffic 100% increase hogi. Ab agar blog par visitors badhane ke bare me aapki koi question ho to aap comments box par bataye.

Comments

Popular posts from this blog

WordPress Blog Ki Loading Speed 1 Second Kaise Banaye